June 03, 2015

A few awesome dialogues of 'Humsafar'..



ASHAR: Mai tumse nafrat karne mein haar gaya..
------------------------------------------------------------------------------------
ASHAR: Pata hai mai apne aap ko bahut lucky samajta hoon. Kabhi kabaar mujhe lagta hai jaise tum mujhe kisi neki ke badle mil gayi hoo..kisi sachche dil se nikli dua ke badle..
KHIRAD: Aap mujhe sharminda kar rahi hai. Itni bhi achchi nahi hoon mai..
------------------------------------------------------------------------------------
KHIRAD: Aapka beta ek kamzor mard hai. Jo mujhe tahaffuz na de saka, jo meri hifazat na kar saka...woh mere dil se utar chuka hai..


KHIRAD: Tumse saamna ab mein sirf roz-e-hashar chati hoon Ashar Hussain iss duniya mein nahi..iss zindagi mein nahi...yahan tum taqatwar ho aur main kamzor hoon. Jab mujh par zulm hua toh sabse bade zalim tum the, mein yeh baat kabhi nahi bhoolugi..qayamat ke din tak yaad rakhoongi mai. Aur uss roz jab mizaan kaayam hoga, jab sabse badi adaalat lagegi..sab munsifon se bada munsif insaaf kar raha hoga..tab tumhe kahi panah nahi milegi..tumhari saari taqat us roz khaak mein mil jayegi. Jab tak mein tumhe maaf nahin karugi Ashar mera Allah bhi tumhe maaf nahi karega. Aur Ashar Hussain apni beti ki kasam khake kehti hoon uss roz mein tumhe maaf nahi karugi..
------------------------------------------------------------------------------------
KHIZAR: Tumhare saath jo hua uske liye sorry..But mai kya karta Farida Aunty ki offer thi hii itni attractive ki mai khudko rok nahi paaya..
------------------------------------------------------------------------------------
KHIRAD: Insaan sabki nazro mein gire lekin apni nazro me kabhi nahi girna chahiye..


------------------------------------------------------------------------------------
KHIRAD: Jamaal inn paudho ko na dhoop mein rakh doo...uss taraf...
ASHAR: Jamaal...Jamaal..kisne rakha yaha pe ye?...Shade loving plants hai ye...mai pagaal hu jo chaaon mein rakhta hu inko? Rakho jaa kar wapis waha pe..
ASHAR: Khirad kisne rakhe yaha pe ye?
KHIRAD: Maine nahi dekha..
KHIRAD: Khidki toh band kar diya kare, machchar aate hai raat ko..
ASHAR: Aa gayi mohtarma..daddy se meri buraaiya karke..
KHIRAD: Aapki taareefe karke aa rahi hoon..
ASHAR: Achcha..ye baat hai..
ASHAR: Kya baat hai Khirad? dopahaar se tum mujhe kuch pareshaan lag rahi hoo..kya hua?
KHIRAD: Koi baat nahi hai..
ASHAR: Kuch toh hua hai..
KHIRAD: Nahi..
ASHAR: Are you sure?
KHIRAD: Ashar mujhe aapse ek baat kehni thi. Maine doopahar mein aapse jhooth bola tha. Aap nursery gaye hue the aur tab maine saare shade loving plants dhoop mein daal diye. Mujhe nahi pata tha ke woh plants shade mein rakhhe jaate hai, mujhe toh gardening in alef be tak nahi pata. Kaunse paudhe kaha rakhe jaate hai? Kis tarah rakhhe jaate hai, kuch nahi jaanti. Mai samjhi ki aap galti se unn paudho ko deewar ke saath lagake chale gaye. Isiliye shauk mein aake maine unko dhoop mein rakh diya.
ASHAR: Toh tum dophar se iss baat pe pareshaan hoo? Yeh bataana chha rahi thi mujhe?
KHIRAD: Mai jhooth nahi bol rahi lekin aap itne gusse mein the ki mujhe ye baat aapko bataate hue darr lag raha tha.
ASHAR: Aur ab darr nahi lag raha? Pehle lag raha tha..gussa toh mujhe abhi bhi aa sakta tha..
KHIRAD: Darr toh ab bhi lag raha hai, lekin mai jhooth bolke soo nahi sakti. Mai jaanti hoon ye maamuli si baat hai lekin, jhooth toh jhooth hota hai na..mere abbu kaha karte the, jhooth bolna sirf pehli baar aasaan hota hai aur uske baad mushkile hii mushkile hoti hai. Aur sach bolna pehli baar mushkil, uske baad aasaani hii aasaani hoti hai.
ASHAR: Tum bahut achchi ladki hoo, maine apni poori zindagi mein tum jaisi ladki nahi dekhi. Hamesha aisi hii rehna. Tumhaari sachchi, tumhaari saadgi anmol hai.
------------------------------------------------------------------------------------
ASHAR: "Mrs. Ashar Hussain, aap jo marzi karle aap hamesha achchi lagti hai". Seeing Khirad blush at his praise, ASHAR teases her further by saying, "Ab agar aapne sharmaliya to chale?"
------------------------------------------------------------------------------------
KHIRAD: Afsheen mai Ashar ke saath bahut khus hoon, Ashar mera bahut khyaal rakhte hai. Bahut achche hai woh. Tumhe hairat hoo rahi hogi na ye sab padhkar? Tumhe aur hairaan karu, aapne dil ka raaz batau? Afsheen mai Ashar se mohabbat karne lagi hoon..bepanaah mohabbat. Aisa kab, kaise hua mai ye nahi jaanti. Bas itna jaanti hoon ki mera dil karta hai mai poori ki poori Ashar ke pasand ke saanche mein dhal jaau. Jo Ashar ko pasand hai woh apna lu..jo unhe naa pasand hai hamesha ke liye chhod doon.
------------------------------------------------------------------------------------
ASHAR: Tum mere liye bahut khaas hoo. Bahut jayada important..Kabhi bhi apne aapko kisi se kamtar mat samajna warna mujhe aisa lagega mere pyaar mein koi kami reh gayi..
------------------------------------------------------------------------------------
KHIRAD: yeh binomials kyun nahi solve hoo raha hai?
ASHAR: Allah saza de raha hai tumhe..

-K Himaanshu Shuklaa..

2 comments: